Friday, August 17, 2007

GULZAR Day!!



Happy Birthday to you.....happy birthday to.......happy birthday happy birthday happy birthday to you...
May his moments, his life his poetries remain alive for eternity.

May bliss of life Touches you
May Kiss of SiyaRam reaches You...





yeh din bhi beet gaya
beet jaayengi sadiyaan yunhi
reh jaayega sirf...
...ek ehsaas...
...khwaab mein beetata ek sach..
..sach se guzerta ek khwaab..
aankhon mein saja.......dilo mein likha
nazm sa ek naam "Gulzar"

Saturday, August 11, 2007

'barf se thandi aag ki boondein'...one more magical composition from his pen from;aastha

Tan pe lagti
kaanch ki boondein..
..mann pe lage to jaane

barf se thandi
aag ki boondein..
...dard chuge to jaane

tan pe lagti
kaanch ki boondein..
..mann pe lage to jaane..

Lal sunehri
chingaari si
belein jhoolti rehti hain..
baahar gulmohar
ki lapte..
..dil mein uge to jaane

Tan pe lagti
kaanch ki boondein..
..mann pe lage to jaane


baarish lambe..
..lambe haathon se
jab aakar..chhooti hai
yeh lohaan si..saansein hain jo
yeh lohaan si..saansein thodi..
....der rukein to jaane

Tan pe lagti
kaanch ki boondein..
..hhmm.hhmmm.. to jaane