Sunday, April 29, 2007

a song....found from obscurity.....

bolo kya tum
bas itna sa..mera
kaam karoge-
mere jism par...ungli se
apna naam likhoge

bolo kya tum
bas itna sa..mera
kaam karoge..


aankhon se padh-padh ke
mere jism pe likhte rehna...

aankhon se padh-padh ke
mere jism pe likhte rehna
saans baje gar zor se to
aawaz nigalte rehna..

halki-halki aanch pe bolo
dher sa pyaar karao.ge
hhmm..hhmm..

bolo kya tum
bas itna sa..mera
kaam karoge


haathon ke poro.n se jo bhi
tum mehsoos karaao..

haathon ke poro.n se jo bhi
tum mehsoos karaao
wahan-wahan tum hothon ki
ek moher lagate jaao

itna hi chup-chap bataao
kitna pyaar karoge...
hhmm..hhmm..

bolo kya tum
bas itna sa..mera
kaam karoge
mere jism par ungli se
apna naam likhoge

bolo kya tum
bas itna sa..mera
kaam karoge!

..mera
kaam karoge!
..mera
kaam karoge!

Sunday, April 22, 2007

definition..

GULZAR

G - ghazal ka meetha sa misra hai koi

U - udta hua behta hua falaq ka koss hai

L - likha jo roob mein dubokar naam hai nazm sa

Z - zamin khyalo ki firaasat ka arsh hai

A - aazar harfo ka aashna hai kalam jiski

R - rooh mein uterti jiske lafzo ki aanch hai



firaast: praveenta/dexterity, aazar: pareshan

Friday, April 20, 2007

phoolon ki tarah

फुलों की तरह लब खोल कभी
ख़ूश्बू की ज़ुबा मे बोल कभी
अलफ़ाज़ परखता रेहता है
आवाज़ हमारी तोल कभी
अन्मोल नहीं लेकिन फिर भी
पूछो तो मुफ़्त का मोल कभी
खिड़की में कटी है सब राते
कुछ चौर्स थीं, कुछ गोल कभी
ये दिल भी दोस्त ज़मीं की तरह
हो जाता है डांवां डोल कभी

Wednesday, April 18, 2007



















see! the awards being honored in his hands......lucky awards

Monday, April 16, 2007

kisi mausam ka jhonka tha
jo iss deewar par latki tasveer tirchhi kar gaya hai

Gaye sawan mein ye deeware yun seeli nahi thi
na jane kyun iss dafa inn mein seelan aa gayi hai
daraarein pad gayi hain
aur seelan iss tarah behti hai jaise
khushk rukhsaaro par geele aansun chalte hain

ye baarish gungunati thi inhi chhat ki mundero par
ye ghar ki khidkiyon par ungliyon se likh jaati thi sandese

bilakhti rehti hai ab band roshandano ke peechhe
dopehre aisi lagti hain
bina moheron ke khali khane rakkhe hain
na koi khelne wala hai baazi, na koi chal chalta hai
na din hota hai ab na raat hoti hai
sabhi kuchh ruk gaya hai

wo kya mausam ka jhonka tha
jo iss deewar pe latki tasveer tirchhi kar gaya hai

GULZAR

Sunday, April 15, 2007

no one ever has defined these moments,this relationship such way....song from 'aastha'


main quaynat mein sayyaro mein bhatakta raha
dhoop mein dhool mein uljhi kisi kiran ki tarah
main bhatakta hoon sadiyon se iss zamin pe
gira jo waqut se katkar ushi lamhe ki tarah
watan mila to zamin liye bhatakta raha
gali mein ghar tha nishan dhoondhta raha barson
pehle tumhari rooh mein
ab jism mein bhatakta hoon.....
"labo se chum lo,aankhon se tham lo mujhko
tumhi se janmu toh shayad mujhe panah mile"


labo se chum lo......
labo se chum lo,
aankhon se tham lo mujhko
tumhi se janmu toh shayad mujhe panah mile....
tumhi se Janmu toh shayad Mujhe PaNah mile...

labo se chum lo aankhon se tham lo mujhko........


"do saundhe-saundhe se jism
jis waqt ek mutthi mein so rahe the
bata to......us waqt main kahan tha
bata to........us waqt tu kahan thi"

main aarzu ki tapish mein pighal rahi thi kahin...
main aarzu ki tapish mein pighal rahi thi kahin
tumhare jism se hokar,nikal rahi thi kahin
bade haseen the.....
bade haseen the jo,
raah mein gunah mile
tumhi se janmu toh shayad mujhe panah mile.....

labo se chum lo, aankhon se tham lo mujhko...


"tumhari lau ko pakedkar
jalne ki aarzu mein
jab apne hi aap se lipat kar sulagh raha tha
bata to.....us waqt main kahan tha
bata to.....us waqt tu kahan thi"

tumhari aankhon ke......
tumhari aankhon ke saahil se door - door kahin
main dhoondhti thi mile khushbuon ka noor kahin
wahin ruki hoon...
wahin ruki hoon,
jahan se tumhari raah mile
tumhi se janmu to shayad mujhe panah mile......

labo se Chum lo.....aankhon se tham lo mujhko.

a song from 'leela'

dhuan utha hai kahin aag jal rahi hogi
haseen roshni bahar nikal rahi hogi

har ek roz naya aasman khulta hai
khabar nahi hai ke kal din rang kya hoga
palak se pani gira hai to use girne do
koi purani tammanna pighal rahi hogi

dhuan utha hai kahin aag jal rahi hogi

yeh charo ore se aate hue kai raste
jab ek dusre ke jism aake chhoote hai
koi toh haath milakar nikal gaya hoga
kisi ki mod par manzil badal rahi hogi

dhuaan utha hai kahin aag jal rahi hogi
haseen roshni bahar nikal rahi hogi

Friday, April 13, 2007

cluster























for me he is..

when he walks..
fragrant breezes flow along with him

when he laughs..
several bliss are showered at soul

when he smiles..
several smiling faces start being formed in the sky

softness of his voice..
softens the rough edges

each word that flows in his voice..
seems like a peace of sugar

each sight of him..
envisages, melodious & joyful tranquility

its his voice..
through whic i experience ecstasy

his existence is so soulful
that it spreads life to people around him
&
to the things which are lifeless....
he provides life

magic of his words....
can spell bound hearts and minds

he is another name of bliss
and for me he is another name of life..




deep and heart-felt devotion to Gulzar saheb
love u,u r the schweetest