samay dheere chalo
bujh gayi raah se chhanv
door hai
door hai pee ka gaanv
dheere chalo
dheere chalo
jee ko behlaiyaan
tune aans nirash ka khel kiya
char dino mein tune jiya na jiya
zeher yeh saans ka piya na piya
samay dheere chalo...
yeh hawa sab le gayi
karvan ke nishan bhi uda le gayi
udti hawaon wale milenge kahan
koi bata do mere piya ka nishaan
koi bata do mere piya ka nishaan
samay dheere chalo
bujh gayi raah se chhanv
door hai
door hai pee ka gaanv
dheere chalo
dheere chalo
Wednesday, May 9, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)

1 comments:
aapko shayad pata bhi ho...
ek misra yun bhi fisal gaya thha
abhi na parda girao thehro ki daastan aage aur bhi hai
abhi to tooti hai kachci mitti
abhi to bas jism hi gire hain
abhi sulagte hain dard dil ke
abhi to bas kirdar hi bujhe hain...
aapka blog dekha...bahut achchha laga!!
Post a Comment